Lafz diye tujhe us farishte ne
Toh istemaal kar uska yoon
Insaano mein mohabbat bikherne ka.
Nafrat ki aag kyun tu ugalta hai.
Tere alfaazo ke vajah se
Kyun insaan mazhab
ke naam par jalta hai.
Tere dimag ki upaj se
Is jahan mein ekta ka khawab
Ek khwaab hi reh jayega.
Jannat ki toh baat na karna,
Tere karmo se tu
toh yamshala hi payega.
Yaad rakh aye insaan,
Ye baat naa bhool.
Tu yahan khaali haath hi aaya tha.
Tu yahan se khaali haath hi jayega.
-Abhishek Gupta