Maanjhi
Ek naav si hi hoti hai ye zindagi.
Jis disha me le jana chaaho,
Us disha mein hi ye jayegi.
Toofan aane par ladkhadayegi,
Par thik se sambhaalo toh
Sambhal bhi jayegi.
Ek naav si hi hoti hai ye zindagi.
Aapne dusron ki kashti ko
doobte zarur dekha hoga.
Par unki kashti doobi kyunki
Wo usse sambhaal na paaye.
Aur us nazaare ke dar se
Agar aap is vishal samandar
Ki sair ko na nikle,
toh manjhi kaise kehlaoge?
Darr sabko lagta hai,
par dar se darkar agar
Aap pehle hi haar maan loge,
Toh ye zindagi kaise jiyoge?
Ye zindagi tujhe girayegi,
Is zindagi ka dastur yahi hai.
Par gir kar ruk jana,
Ye tera dastur nahi hai.
Uth, badh, par ghabra kar na ruk.
Nikaal kashti aur bhid un lehron se.
Takra, ladkhada, par haar na maan,
Aur jeet kar aa.
Ek naav si hi hoti hai ye zindagi.
Jis disha me le jana chaaho,
Us disha mein hi ye jayegi.
-Abhishek Gupta