Nadi Ki Tarah
Is zindagi ke safar mein,
ek nadi ki tarah main
humesha behta chala gaya.
Har gham, har dhokhe,
Jo mile mujhe,
mere hi apnon se,
Main chup chap,
sab yoon sehta chala gaya.
Par na maani haar
zindagi mein kabhi,
Kamzor nahi hoon,
na jhukunga kabhi,
Aisa main khud ko har pal
har lamha kehta chala gaya.
Aisa main khud ko har pal
har lamha kehta chala gaya.
Gira hoon zindagi ke har
padaav mein,
kabhi na kabhi.
Par kabhi ruka nahi.
Humesha utha aur
aage badhta gaya.
Log aksar tanha chhod
Jaate hai is safar mein,
Isi ka naam zindagi hai.
Aisa main apne toote dil
ko kehta chala gaya.
Is zindagi ke safar mein,
Ek nadi ki tarah main
humesha behta chala gaya.
Ek nadi ki tarah main
humesha behta chala gaya.
-Abhishek Gupta.