Ishq kiya tha,
shiddat se tujhse, maine.
Ab sochta hoon, kyun?
Muddaton sath nibhaane
ka waada kiya tha tune.
Ab sochta hoon, kyun?
Tanha chhoda beech
raah mujhe yoon akele.
Ab sochta hoon, kyun?
Mushkil ho gaya ab ye
zindagi jeena mera, tum bin.
Ab sochta hoon, kyun?
Thak gaya hoon zindagi ke
is safar ko akela tay karte-karte.
Ab sochta hoon, Kyun?
Ishq kiya tha,
shiddat se tujhse, maine.
Ab sochta hoon, kyun?
Khatm karun is zindagi,
is dard-e-tanhayi ko.
Khud ko mayassar
kar raha hoon.
Par phir sochta hoon, kyun?
-Abhishek Gupta