You are currently viewing Patthar Dil Insaan

Patthar Dil Insaan

Agar tab hum nadaan na hote.
Agar tab zindagi me aaye
wo toofan na hote.
Agar tab sath wo kuch
galat insaan na hote.
Nazarandaaz na kar paye jise,
Hue waise kuch apmaan na hote.
Toh shayad aaj hum logo
Ki nazron me yoon patthar dil
Insaan na hote.

Agar hume na mile hote wo dhoke.
kiye te Kasme vaade ke rahenge
Hum sath humesa, ek hoke.
Par ant me hua wahi na,
Ke hume akele sab sehna pada,
Kabhi hass ke, toh kabhi ro ke.

Ishq ki baat nahi kar raha hoon.

Pyar ka matlab sirf ishq nahi hota hai.
Pyar ke toh Anek prakaar ke hote hai.

Koi behen bankar,
Toh koi bhai bankar,
Koi dost bankar,
Koi mehboob bankar pyar deta.

Par jab in rishto ki dor toot jati hai na.
Toh is gham ko baant ne wala
Sath mein, Koi na rehta.

Shayad isliye log patthar dil ban jate hai.
Galti unki nahi, wo toh bas, apne aap ko
Us taklif ke samandar se bachaate hai.
Us taklif ke samandar se bachaate hai.

Aur ant me baat wahi pe aati hai.
Agar tab hum nadaan na hote.
Agar tab zindagi me aaye
wo toofan na hote.
Agar tab sath wo kuch
galat insaan na hote.
Nazarandaaz na kar paye jise,
Hue waise kuch apmaan na hote.
Toh shayad aaj hum logo
Ki nazron me yoon patthar dil
Insaan na hote.

-Abhishek Gupta.

This Post Has 0 Comments

Leave a Reply