Waqt
Kuch kehna tha, aur ye
bojh e dil jo main Na Jane
Kabse banjaro ki tarah lekar phir raha hoon,
Usse zara halka karna tha.
Ke ek waqt tha,
jab teri palko pe aaye
har aansoon ko moti
samjh zameen par na
kabhi main girne deta tha.
Ke ek waqt tha,
Tere lafzon se nikle har alfaaz
Shehad se meethe lagte te,
jo mere in kaano me
din o raat,
goonjte rehte the.
Ke ek waqt tha,
Teri wo muskaan, aur wo haya,
mujhe dekh kar, ghayal sa kar deti
thi mujhe aur mere is dil ko.
Ke ek waqt tha,
Jab tere waaste is
duniya se lad sa jata tha.
Tere chehre par gar
gham ke saya bhi dikh jaye,
Toh kuch dar sa jata tha.
Anmol thi tu mere liye,
Tujhe mehfooz rakhne ke liye,
Kuch bhi kar sa jata tha.
Ke ek waqt tha,
Jab tere waaste is
duniya se lad sa jata tha.
Wo waqt kuch aur tha,
Ye waqt kuch aur hai. x2
Ab tere us soorat se mohabbat
nahi par beintehaan nafrat si ho gayi hai.
Kuch pyar baaki hai, aur shayad humesa rahega,
Par ab tere bina jeene ki aadat si ho gayi hai.
Tanha chhoda tune, uska gham nahi mujhe.
Gham toh hai is baat ka, ke is dil me,
mohabbat ke khilaaf tu ek beej is bo gayi hai.
Arre ja, tujhe kab roka tha Maine.
Ek bar bol kar to dekhti, par aise kyun
khud ko mujhse paraai si kar gayi.
Mujhe vafa e ishq ka paath padhaati thi.
Khud yoon aisi bewafai si kar gayi?
Bade shiddat se mobbat ki thi,
Par ab nafrat bhi dekh tu meri.
Aakhri saans tak, mudkar na
dekhunga main ab tujhe
Ab nafrat bhi tu dekh meri.
Mar gayi hai, jo mohabbat
mere dil me thi.
Aur uski qaatil tu hai.
Tere hath mere khoon se sane hai.
Dekh apne hathon ko,
Aur jee. Ye hi teri saza hai.
Par kabhi kisi aur ka dil yoon na todna,
Bas itni si meri ek aakhri raza hai.
Ke ek waqt tha,
Jab tere waaste is
duniya se lad sa jata tha.
Wo waqt kuch aur tha,
Ye waqt kuch aur hai.
-Abhishek Gupta