Patthar Dil Insaan

Agar tab hum nadaan na hote.
Agar tab zindagi me aaye
wo toofan na hote.
Agar tab sath wo kuch
galat insaan na hote.
Nazarandaaz na kar paye jise,
Hue waise kuch apmaan na hote.
Toh shayad aaj hum logo
Ki nazron me yoon patthar dil
Insaan na hote.

Agar hume na milte wo dhoke.
Kasme vaade kiye te ke rahenge
Sath humesa, ek hoke.
Par ant me hua wahi na,
Ke hume sab sehna pada,
Kabhi hass ke, toh kabhi ro ke.

Sirf ek tarah ke pyar
ki baat nahi hai aye dost,
Pyar ke toh Anek prakaar ke hote hai.

Koi behen bankar,
Toh koi bhai bankar pyar deta,
Koi dost bankar,
Koi mehboob bankar pyar deta.

Par jab in rishto ki dor toot jati hai.
Toh us gham ko baant ne wala
Sath mein, aye dost, Koi nahi rehta.

Shayad isliye log patthar dil ban jate hai.
Galti unki nahi, wo toh bas, apne aap ko
Us taklif ke samandar se bachaate hai.
Us taklif ke samandar se bachaate hai.

-Abhishek Gupta.