Rangmanch

Ye duniya ek rangmanch hai,
Chaayi har oor tanhayi hai.

Khafa nahi hoon tujhse main.
Ye bas meri khud ki,
Khud se ladaayi hai.

-Abhishek Gupta.

Tu hai kahan

तू है जहाँ, मैं था वहाँ।
अब मैं बढ़ा, और हूँ यहाँ।
तू है कहाँ? तू है कहाँ?
तू था जहाँ, तू है वहाँ।
तू है जहाँ, मैं था वहाँ।
अब मैं बढ़ा, और हूँ यहाँ।

-अभिषेक गुप्ता

jhalak

Tujhe dekha aaj maine.
Kaafi waqt ke baad.

Ek jhalak mein
pehchan nahi
paaya tujhe.
Aisa din bhi aayega,
kabhi socha na tha.
Shayad sach mein ab
maine tujhe is dil se
nikaal phenka hai.

Waise,
kaafi sehmi si
thi aankhein teri,
Jhuki hui, nazre
churaati sabse.
Shayad mujhe dekh
teri aankhon ne tujhe,
teri bewafayi,
teri dagabaazi,
ki yaad dila di hogi.

Tujhe dekha aaj maine.
Kaafi waqt ke baad.

-Abhishek Gupta

Tabaahi

Galti teri nahi.
Galti meri thi.
Ke bharosa kiya tujhpe.

Pak tha dil ka.
Shayad isliye tere lafzon par
Yakeen kar
kafan baandh apne
tabahi ki oor chal baitha.

Aur us tabaahi ka naam
Ishq tha.

-Abhishek Gupta

Maanjhi

Ek naav si hi hoti hai ye zindagi.
Jis disha me le jana chaaho,
Us disha mein hi ye jayegi.
Toofan aane par ladkhadayegi,
Par thik se sambhaalo toh
Sambhal bhi jayegi.
Ek naav si hi hoti hai ye zindagi.

Aapne dusron ki kashti ko
doobte zarur dekha hoga.
Par unki kashti doobi kyunki
Wo usse sambhaal na paaye.
Aur us nazaare ke dar se
Agar aap is vishal samandar
Ki sair ko na nikle,
toh manjhi kaise kehlaoge?

Darr sabko lagta hai,
par dar se darkar agar
Aap pehle hi haar maan loge,
Toh ye zindagi kaise jiyoge?

Ye zindagi tujhe girayegi,
Is zindagi ka dastur yahi hai.
Par gir kar ruk jana,
Ye tera dastur nahi hai.

Uth, badh, par ghabra kar na ruk.
Nikaal kashti aur bhid un lehron se.
Takra, ladkhada, par haar na maan,
Aur jeet kar aa.

Ek naav si hi hoti hai ye zindagi.
Jis disha me le jana chaaho,
Us disha mein hi ye jayegi.

-Abhishek Gupta

Nami

Tu hai, phir bhi kyun khalti hai teri kami.
Sab waqt ka taqaaza hai.
Mehsoos hua ye mujhe aaj,
jab aayi mere in aankhon mein nami.

-Abhishek Gupta

Tanha

एक खाली खुली किताब सी ही है मेरी ज़िन्दगी।
लोग आते है, और पन्नों पर अपना नाम लिख,
फिर कहीं दूर, मुझे तन्हा छोड़, चले जाते है।

Meri pyari maa.

Ek alag hi sukoon ka ehsaas hota hai.
Jab mere sar pe tumhara hath hota hai.
Jata hoon dur jab jab tumse,
Bagair aansuon ke mai rota hoon.
Muskura toh deti ho tum, par pata hai mujhe,
Haal tumhara bhi andar, kuch aisa hi hota hai.
Jannat hai pairon mein tumhare, aur,
Lafzo se nikli har baat tumhari hai dua.
Lad jaau is duniya se mai.
Gar koi keh de tumhe kuch.
O meri pyari pyari maa.
Mera abhimaan ho tum.
Meri pehchaan ho tum.
Mere is dil ki dhadkan.
Mera sara sansaar ho tum.
– Happy mother’s day.
– Abhishek Gupta.