Wo ishq hi kya, jo yoon aasani se mil jaye.
Wo ishq hi kya, jo phoolon ki tarah na khil paaye.
Wo ishq hi kya, jisme halki phulki takraar na ho.
Wo ishq hi kya, jisme har roz ishq ka izhar na ho.
Wo ishq hi kya, jisme ek dooje par vishwas na ho.
Wo ishq hi kya, jisme aap ek dooje ki vajah-ae-saans na ho.
Wo Roothna,
Wo Manana,
Kabhi gusse se,
Toh kabhi pyar se, samjana.
Bas inhi baaton mein
simta hua hai pyar ka fasana.
Yahan gaur faramiyega zara.
Apne mashooka ke walid se
Wo Pehli dafa milna.
Aur phir unke nazaron ke dar
se aapke honton ka silna.
Pyar me aapko ye din bhi
Dekhna hi padega.
Sath me baith wo sapne dekhna,
Phir ek dusre ko kehna,
Ke hume humesa sath hai rehna.
Bas ye kahi bahar baith ke na karna!
Kya pata ye pyar ke dushman
Kahin bhagwa rang pehen ke aa jaaye,
Aur unse bachne ke liye tumhe na kehna
Pad jaaye apne hi mashooka ko behna.
Khair, toh is baat ko,
Kuch is tarah khatm karte hai.
Ke is pyar ke raaste ko agar tum
Chunn rahe ho, toh hausla bhi rakhna.
Jitna pyar milega is raaste mein,
Kaante bhi utne hi milenge.
Aasaan samjne ki bhool na karna,
Pyar paana mushkil nahi,
Par use nibhana mushkil hai.
Toh jaaye, aap bhi zara pyar me,
Kabhi thoda gir jaaye toh
kabhi thoda sambhal jaaye.
Kyunki,
wo ishq hi kya,
Jo yoon, aasaani se mil jaye.
-Abhishek Gupta.